hum ahl-e-fan nahin hain ya ahl-e-sukhan nahin kya anjuman hamari koi anjuman nahin ye inqilab-e-waqt ki sazish hai in dinon hum baghban bhi ho ke hamara chaman nahin kab tak bahega khun yahan insaniyat ka dost ye dushmanan-e-amn ka achchha chalan nahin hum par uthae ungliyan duniya agarche hum pahne hue to aisa koi pairahan nahin kitni ajib baat hai hum ajnabi se hain rah kar watan mein phir bhi hamara watan nahin ghabra ke hadson se kahan jaoge 'amin' wo kaun si jagah hai ki jo pur-fitan nahin