hum ahl-e-gham bhi rakhte hain jadu-bayaniyan ye aur baat hai ki sunin lan-taraniyan sharminda kar na mujh ko mera haal puchh kar le de ke rah gai hain yahi be-zabaniyan kam kya tha hum faqiron ko aashob-e-rozgar kyun yaad aa rahi hain teri mehrbaniyan daman ke chaak chaak mein hai mausam-e-bahaar aao ki khun-e-dil se karen guf-fishaniyan ahl-e-zamana tum bhi bade waqt par mile kuchh bar ho chali thin meri shadmaniyan tum ne bhula diya to nai baat kya hui rahti hain yaad kis ko wafa ki kahaniyan ji khol kar lutaenge ab teri rah mein tere bala-kashon ko mili hain jawaniyan rakh lo ki zindagi mein kabhi kaam aaengi diwangan-e-ishq ki bhi kuchh nishaniyan