kabhi hans raha tha kabhi ga raha tha mera hausla tha jiye ja raha tha ye achchha hua koi milne na aaya main khud apne sae se katra raha tha wo pahli kiran si mere aansuon ki mujhe apna ek khwab yaad aa raha tha kai aql ki gutthiyan thin mera dil samajhta na tha mujh ko samjha raha tha usi par nae phul bhi khil rahe the wahi shakh main jis pe murjha raha tha wo mujh se mila sham ke waqt jab main parindon ke hamrah ghar ja raha tha