hum ahl-e-jabr ke nam-o-nasab se waqif hain

hum ahl-e-jabr ke nam-o-nasab se waqif hain
saron ki fasl jab utri thi tab se waqif hain

kabhi chhupe hue khanjar kabhi khinchi hui tegh
sipah-e-zulm ke ek ek dhab se waqif hain

wo jin ki dast-khaten mahzar-e-sitam pe hain sabt
har us adib har us be-adab se waqif hain

ye raat yun hi to dushman nahin hamari ki hum
daraazi-e-shab-e-gham ke sabab se waqif hain

nazar mein rakhte hain asr-e-buland-e-baami-e-mehr
furaat-e-jabr ke har tishna-lab se waqif hain

koi nai to nahin harf-e-haq ki tanhai
jo jaante hain wo is amr-e-rab se waqif hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close