mata-e-zist kya hum zist ka hasil samajhte hain jise sab dard kahte hain use hum dil samajhte hain isi se dil isi se zindagi-e-dil samajhte hain magar hasil se badh kar sai-e-be-hasil samajhte hain kabhi sunte the hum ye zindagi hai wahm o be-mani magar ab maut ko bhi khatra-e-baatil samajhte hain bahut samjhe hue hai shekh rah-o-rasm-e-manzil ko yahan manzil ko bhi hum jada-e-manzil samajhte hain ubharna ho jahan ji chahta hai dub marne ko jahan uthti hon maujen hum wahan sahil samajhte hain koi sargashta-e-rah-e-tariqat is ko kya jaane yahan uftadgi ko hasil-e-manzil samajhte hain tamasha hai niyaz o naz ki baham kashakash ka main un ka dil samajhta hun wo mera dil samajhte hain abas hai dawa-e-ishq-o-mohabbat kham-karon ko ye gham dete hain jis ko jauhar-e-qabil samajhte hain gham-e-la-intiha sai-e-musalsal shauq-e-be-payan maqam apna samajhte hain na hum manzil samajhte hain