hum ahl-e-zarf hain yun hi KHafa nahin hote

hum ahl-e-zarf hain yun hi khafa nahin hote
wafa-shiar kabhi bewafa nahin hote

kuchh aise aansu bhi rahte hain meri palkon par
juda to hote hain phir bhi juda nahin hote

jo zakhm tum ne nawaze hain be-sabab hum ko
kisi bhi dard ka wo masala nahin hote

kaha ye kis ne kahan se ye sun ke aae ho
jo be-sahaara hain wo aasra nahin hote

har ek gam pe jo ladkhadae rahte hain
ghubar-e-rah mein wo rasta nahin hote

charagh to hain magar itne dhundle dhundle kyun
'kiran' tumhaare to ye naqsh-e-pa nahin hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close