jit bakhshe jo charaghon ko hawa zindabaad us pe qurban charaghon ki ziya zindabaad main ne dushman ko mahaarat pe koi dad na di mere andar se koi bol pada zindabaad us mohabbat ke payambar se taqabul kaisa dasht sau bar jise kahta raha zindabaad ghar ka malik to mere zabt pe tana-zan tha ghar ki diwar ne par mujh se kaha zindabaad jo tere jism ke auraq padha karti hai rashk-e-khushbu hai wo be-misl qaba zindabaad bazm-e-yaran mein mere fan pe hai ungli utthi phir meri fikr pe bohtan laga zindabaad mar gaya bhuk se par bhik ka luqma na liya marne wale tere kirdar-o-ana zindabaad faisla mera shuuri to nahin ho sakta jis ko thi mat hui us ko likha zindabaad kar le manzur sana-khwani-e-'kazim' ko husain tu bhi zinda hai teri karb-o-bala zindabaad