hum aise log kahan manzilon ko pate hain

hum aise log kahan manzilon ko pate hain
hum aise log faqat raste banate hain

ye tere jism ko chhu kar pata chala hai mujhe
ki narm phul bahut jald sukh jate hain

ye kaam hijr mein bidat shumar hota hai
magar ye dekh ki hum phir bhi muskuraate hain

tera to khair koi tujh se dur hi na gaya
tujhe khabar hi nahin sans kaise aate hain

nazar na aaenge tujh ko ghubar udne de
tere liye jo mujhe rah se hatate hain

tumhaare khwab ghanimat hain bujhti aankhon ko
magar ye khwab hamein nind se jagate hain

ye kaun bagh mein 'sahir' dikhai dene laga
ki phul ped parinde khushi manate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close