kai dinon se murawwat nahin hui mujh se use bhi koi shikayat nahin hui mujh se bahut se kaam dikhawe ke kar raha tha main khuda ka shukr ibaadat nahin hui mujh se nae sire se mohabbat ki aarzu thi magar nae sire se mohabbat nahin hui mujh se ye log apne aqide se pyar karte hain isi liye to aqidat nahin hui mujh se main zimmedar hun teri udas aankhon ka main manta hun hifazat nahin hui mujh se tamam raat yunhi tiliyan jalata raha diya jalane ki himmat nahin hui mujh se ye aur baat tujhe darguzar kiya warna kisi ke sath riayat nahin hui mujh se