hum aise soe bhi kab the hamein jaga late kuchh ek khwab to shab-khun se bacha late ziyan to donon tarah se hai apni mitti ka hum aab late ki apne liye hawa late pata jo hota ki niklega chand jaisa kuchh hum apne sath sitaron ko bhi utha late hamein yaqin nahin tha khud apni rangat par hum is zamin ki hatheli pe rang kya late bas aur kuchh bhi nahin chahta tha main tum se zara si chiz thi duniya kahin chhupa late hamare azm ki shiddat agar samajhni thi to is safar mein koi sakht marhala late