khala ke jaisa koi darmiyan bhi padta phir is safar mein kahin aasman bhi padta main chot kar to raha hun hawa ke mathe par maza to jab tha ki koi nishan bhi padta ajib khwahishen uthti hain is kharabe mein guzar rahe hain to apna makan bhi padta hamin jahan ke pichhe pade rahen kab tak hamare pichhe kabhi ye jahan bhi padta ye ek kami ki jo ab zindagi si lagti hai hamari dhup mein wo saeban bhi padta har ek roz isi zindagi ki tayyari so chahte hain kabhi imtihan bhi padta