hum ajal ke aane par bhi tera intizar karte koi wada sach jo hota to kuchh eatibar karte jo na sabr aur dam-bhar tere be-qarar karte abhi barq ka tariqa falak ikhtiyar karte agar itni baat sunte ki hai ishq mein musibat kabhi hum na teri khatir dil-e-be-qarar karte dil-e-zar be-khabar tha kiya qatl to maza kya ye sipah-gari hai pahle ise hoshiyar karte yahi chahte hain ai jaan mite gham ki jaan jae abhi maut agar na aati tera intizar karte gham-o-dard-o-ranj sah ke tujhe dete hum dil apna inhin bewafaiyon par tera eatibar karte jo safar ka waqt aaya na pukare sath wale abhi aankh lag gai thi hamein hoshiyar karte jo khilaf umid ke ho to shikasta-khatiri hai kai tukde dil ke hote jo tum ek war karte wo na aae mar gae hum agar aate bhi to kya tha yahi jaan sadqe karte yahi dil nisar karte hamein jaan de ke mara hamein de ke dil mitaya na gham-e-firaq hota na khayal-e-yar karte wo ada thi qatl-gah mein ki bayan se hai bahar mere dil pe zakhm padta wo kisi pe war karte teri samt ki tawajjoh na kabhi jahan-e-fani jo zara sabaat pate to kuchh eatibar karte khabar us ki pahle hoti ki na aaega ye hum ko to 'rashid' sher ka fan na hum ikhtiyar karte