hum ajnabi se ho gae apne hi ghar mein aaj kya dekhne ki chah thi kya hai nazar mein aaj us bewafa ke tir-e-nazar ne kiya ye kaam nasur be-shumar hain mere jigar mein aaj khinchte hi ja rahe hain barabar wo hum se kyon ye kaisi kashmakash hai dua o asar mein aaj socha tha aashiyane mein paenge rahaten lekin ghire hain halqa-e-barq-e-sharar mein aaj ai ahl-e-husn dekhiye parde mein 'auj' ke diwana aa raha hai tumhaare nagar mein aaj