hum intiha-e-jaur-o-sitam dekhte rahe yani ki un ke lutf-o-karam dekhte rahe nazan tha apni parda-nashini pe jo bahut chashm-e-khayal se use hum dekhte rahe ja pahunche rind arsh pe saghar ko chum kar jo farsh par the ranj-o-alam dekhte rahe hosh-o-khirad mein ishq ki manzil na mil saki hum rahbaron ke naqsh-e-qadam dekhte rahe uljhenge hadsat se azm-e-jawan ke sath ab tak to hadsat ko hum dekhte rahe ai 'auj' apna zauq-e-nazar hai ki der tak diwana-war zulf ka kham dekhte rahe