hum alag si ek khushbu jaante hain hain barahman aur urdu jaante hain kaam chup rah ke kiya karte hain lekin raat ke sab raaz jugnu jaante hain khamushi se aa gire daman pe aksar dard ki shiddat ko aansu jaante hain kyon mahakta hai chaman aamad se teri phul bhi kya teri khushbu jaante hain arziyan kab rokna hai kab badhana ye hunar daftar ke babu jaante hain mushkilon mein muskura ke jine wale phir yaqinan koi jadu jaante hain