hum apna ism le kar shahr-e-sifat se nikle phir marifa-o-nakra sare lughat se nikle lafzon mein us ne apne aaine rakh diye the parda-nashin ke sare aks us ke khat se nikle kya rasti hamari apni kaji se nikli hum kya durust ho kar apne ghalat se nikle kaj-fahmiyon ne jitni hajwen likhin hamari hum utne hi ziyaada apni likhat se nikle bahar gali mein bhaari fauj-e-khuda padi thi hum kafir-e-mohabbat na-chaar chhat se nikle hum jo bacha bacha ke rakhte rahe the khud ko kangal ho ke aakhir apni bachat se nikle kata gaya tha hum ko ek khas zawiye se ye sher sab qalam ke us khas qat se nikle becha hai kaudiyon ke mol apna mal sara aur is tarah khud apni badhti khapat se nikle sufi the hum magar the ruhaniyat ke qaidi aakhir ko apni mitti ki marifat se nikle jughrafiya thin ya phir tarikh sari jihatan hum ho ke 'farhat-ehsas' apni jihat se nikle