surkhiyan kyun dhundh kar laun fasane ke liye bas tumhaara nam kafi hai zamane ke liye maujen sahil se hatati hain hababon ka hujum wo chale aae hain sahil par nahane ke liye sochta hun ab kahin bijli giri to kyun giri tinke laya tha kahan se aashiyane ke liye chhod kar basti ye diwane kahan se aa gae dasht ki baithi-bithai khak udane ke liye hans ke kahte ho zamana bhar mujhi par jaan de rah gae ho kya tumhin sare zamane ke liye sham ko aaoge tum achchha abhi hoti hai sham gesuon ko khol do suraj chhupane ke liye kaenat-e-ishq ek dil ke siwa kuchh bhi nahin wo hi aane ke liye hai wo hi jaane ke liye ai zamane bhar ko khushiyan dene wale ye bata kya 'qamar' hi rah gaya hai gham uthane ke liye