hum apna jo qissa sunane lage wo bole ki phir sar phirane lage kaha tha utha parda-e-sharm ko wo ulta hamin ko uthane lage zara dekhiye un ki sannaiyan mujhe dekh kar munh banane lage kaha main ne mil ya mujhe mar dal wo jhat aastinen chadhane lage mujhe aate dekha jun hi dur se qadam-war jaldi uthane lage uthe wo to ek hashr barpa kiya jo baithe to fitna uthane lage ghiza gham mein thi meri khun-e-jigar ab aada ka bhi rashk khane lage kamal-e-tashshuq nahin hai hunuz abhi se wo munh ko chhupane lage khafa ho ke jab be-bulae gaya mujhe dekh kar muskurane lage ghanimat hai itna to uttha hijab ki ab khwab mein bhi wo aane lage wo dil ke udane se waqif na the hamin to ye ghaten batane lage magar un pe raaz-e-mohabbat khula jo 'majruh' se bach ke jaane lage