hum apne-ap pe bhi zahir kabhi dil ka haal nahin karte chup rahte hain dukh sahte hain koi ranj-o-malal nahin karte hum jo kuchh hain hum jaise waise hi dikhai dete hain chehre pe bhabhut nahin malte kabhi kale baal nahin karte hum haar gae tum jit gae hum ne khoya tum ne paya in chhoti chhoti baaton ka hum koi khayal nahin karte tere diwane ho jate kahin sahraon mein kho jate diwar-o-dar mein qaid hamein agar ahl-o-ayal nahin karte teri marzi par hum raazi hain jo tu chahe so hum chahen hum hijr ki fikr nahin karte hum zikr-e-visal nahin karte hamein tere siwa is duniya mein kisi aur se kya lena-dena hum sab ko jawab nahin dete hum sab se sawal nahin karte ghazlon mein hamari bolta hai wahi kanon mein ras gholta hai wahi band kiwad kholta hai hum koi kamal nahin karte