hum jo din-raat ye itr-e-dil-o-jaan khinchte hain nafa kam karte hain ai yar ziyan khinchte hain sochne ke liye mauzu-e-sukhan koi nahin subh se sham talak sirf dhuan khinchte hain main ne muddat se koi sach bhi nahin bola hai phir mujhe dar pe kyun ahl-e-jahan khinchte hain ab bhi rahte hain bahut aise bahadur jo yahan dudh pite hue bachchon pe kaman khinchte hain wo musahib jo zaban kholte darte the kabhi ab wahi mere buzurgon ki zaban khinchte hain mere qatil mujhe pahchan gae hain shayad warna kyun jism se yun nok-e-sinan khinchte hain rahguzaron ki hawa ka to main jaandada na tha kyun meri nash ko galiyon mein yahan khinchte hain