hum apne hi sar lenge musibat ho kisi ki

hum apne hi sar lenge musibat ho kisi ki
aaegi isi jaan pe aafat ho kisi ki

hum lutf ke rutbe ko abhi jaanch rahe hain
dil den agar aisi hi inayat ho kisi ki

kyon wasl ki shab hath lagane nahin dete
mashuq ho ya koi amanat ho kisi ki

ai nama-bar ahwal-e-gham-e-hijr to likh dun
aisa na ho meri hi si haalat ho kisi ki

ladna kabhi milna kabhi aana kabhi jaana
tum shokh ho ya shokh-tabiat ho kisi ki

lo rahne do taskin ke liye ghair ki taswir
shayad jo na hun main to zarurat ho kisi ki

ye 'dagh' hamari nahin sunta nahin sunta
aisi bhi ilahi na buri mat ho kisi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close