jab kaha aur bhi duniya mein hasin achchhe hain

jab kaha aur bhi duniya mein hasin achchhe hain
kya hi jhunjhla ke wo bole ki hamin achchhe hain

kis bharose ye karen tujh se wafa ki ummid
kaun se dhang tere jaan-e-hazin achchhe hain

khak mein aah mila kar hamein kya puchhte ho
khair jis taur hain hum khak-nashin achchhe hain

dil mein kya khak jagah dun tere armanon ko
ki makan hai ye kharab aur makin achchhe hain

mujh ko kahte hain raqibon ki burai sun kar
wo nahin tum se bure balki kahin achchhe hain

but wo kafir hain ki ai 'dagh' khuda un se bachae
kaun kahta hai ye ghaarat-gar-e-din achchhe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close