hum apne khun-e-dil se fasana banate hain tanqid ka wo phir bhi nishana banate hain aata hai jab bhi shahr mein mausam fasad ka hum ahl-e-khair dur thikana banate hain honton pe tishnagi liye hum daudte rahe ye ahl-e-mai-kada to bahana banate hain tul-e-shab-e-firaq ki jalwagari na puchh tasbih ka hum aansu ko dana banate hain ahl-e-khirad to waqt ke dhaare mein bah gae ahl-e-junun to ek zamana banate hain 'rahbar' sar-e-niyaz jhukane ke waste hum sang-e-dar ko apna thikana banate hain