shahr ki viraniyon aur maqbaron ko dekhna

shahr ki viraniyon aur maqbaron ko dekhna
apni qismat mein hai kyon khali gharon ko dekhna

mutthiyon ko band rakhna dusron ke samne
haule haule ret bante pattharon ko dekhna

pahle apne lafz kaghaz ki tahon mein dhundhna
ajnabi nazron se phir dida-waron ko dekhna

ek pal mein apne andar tut jaana aur phir
dhund mein lipte hue sab manzaron ko dekhna

main zamin ko chhod kar udne laga hun aur tum
aasmanon se mere girte paron ko dekhna

us ki taswiren abhi se tum saja lo zehn mein
phir bahut mushkil rahega khud-saron ko dekhna

phir wahi hai tishnagi aur nahr par lashkar magar
ab kate bazu nahin girte saron ko dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close