hum apne sar pe to suraj uTha ke chalte hain

hum apne sar pe to suraj utha ke chalte hain
suna hai barf ke ghar mein bhi log jalte hain

ye kaisi rut hai ki nezon pe sar uchhalte hain
hamare shahr ke bachchon ke dil dahalte hain

jo radium ke ujale rukhon pe malte hain
wo apni zat se bahar nahin nikalte hain

wo hum ki khar bhi hum se juda nahin hote
wo kaise log hain phulon ko bhi masalte hain

jo mujh pe guzre hain bite hain jin ko jhela hai
wo hadse mere jam-e-ghazal mein dhalte hain

falak se aag barasti to koi baat na thi
zamin wale zamin par hi zahr ugalte hain

wo fasl-e-gul na sahi ye khizan sahi 'anwar'
kabhi to kaghazi phulon ke din badalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close