hum apni jaan se ai but bahut bezar baithe hain bhari barsat mein aakar pas-e-diwar baithe hain karen kya arz-e-matlab khauf se yan jaan jati hai liye wo hath mein kuchh is tarah talwar baithe hain palat kar bastiyon se yun kaha daya ne shirin se suna kuchh aur ai bitiya wo tesha mar baithe hain hue hain kar-zar-e-ishq mein hum be-tarah zakhmi ki shakl-e-tegh dil par abru-e-khamdar baithe hain hamari khush-nasibi se hua kuchh dal mein kala raqib-e-ru-siyah ko aaj wo phatkar baithe hain sitamgar dekh lena phat padenge ghair ke sar par nahin be-wajah hum yun surat-e-diwar baithe hain kaha ye aakhiri hafte ne hans kar ahl-karon se zara dekho mere pichhe miyan itwar baithe hain sar-e-mahfil jo us but se kabhi arz-e-tamanna ki kaha chupke se chup rahiye abhi aghyar baithe hain utha kar chauk mein sar shaikh ji ne hans ke farmaya bahut se dushman-e-iman sar-e-bazar baithe hain