hum apni ruh ke upar azab dekhte hain

hum apni ruh ke upar azab dekhte hain
ki roz tujh se bichhadne ka khwab dekhte hain

kabhi kabhi to hamein bhi yaqin nahin aata
ki hum bahaar mein jalte gulab dekhte hain

tumhaari chashm-e-tamanna ko dekhne wale
koi khazana-e-gham zer-e-ab dekhte hain

bas ek aas ke rishte pe umr katti hai
ki khushk ped musalsal sarab dekhte hain

jahan junun ki tamazat pe harf aata ho
hum us maqam pe ek inqalab dekhte hain

hamare qad ka tum andaza kya lagaoge
hum aankh mund ke sahra mein aab dekhte hain

ye shahr-e-ishq to 'afaq' ho nahin sakta
hum is ilaqe ka mausam kharab dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close