nai zamin nae aasman sanwarte rahen yahi hai shart to phir harf harf marte rahen yahi saza hai ki lamhon ki baz-gasht ke baad sadi sadi tere kuche mein bain karte rahen wo inqilab lakiron se jo ubhar na saka kahan talak usi khake mein rang bharte rahen kuchh aur chahiye diwangi ko hadd-e-junun kuchh aur arsa-e-mahshar ki hum guzarte rahen koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen