hum azal se an-chahe zabton mein rahte hain zindagi ka lalach hai qatilon mein rahte hain hum ajab musafir hain raston se darte hain manzilon ki khwahish hai aur gharon mein rahte hain aaj bhi rihai ke kuchh bache-khuche jazbe hum shikast khurda hum jayyad mein rahte hain dhundte hain apne kuchh gum-shuda iradon ko hum ki apne khwabon ki kirchiyon mein rahte hain kyon bichhadne walon ke aks mar nahin sakte kyon ye ashk aankhon ke aainon mein rahte hain sar utha ke chalne ka shauq ho jinhen 'akhtar' wo to dastanon ya maqtalon mein rahte hain