mauqa-e-raqs na degi mujhe taqdir abhi hai mere panw mein haalat ki zanjir abhi phir jala lena ujale ki zarurat ho agar adh-jale ghar mein to maujud hai shahtir abhi law-lashkar miyan rahte mere aage pichhe kash rahti mere ajdad ki jagir abhi tum na pahchan sakoge use aasani se waqt ki gard mein gum hai meri taswir abhi dard ke ganw mein badlao 'alim' aaega kar raha hai wo nae din ki tamir abhi