hum aziz is qadar ab ji ka ziyan rakhte hain dost bhi rakhte hain to dushman-e-jaan rakhte hain taban insan to dil-dada-e-fasl-e-gul hai hum ajab log hain jo zauq-e-khizan rakhte hain aariz-e-gul ho lab-e-yar ho jam-e-mai ho jism jal uthta hai hum hont jahan rakhte hain waqia ye bhi hai haq baat nahin kah sakte ye bhi dawa hai baja munh mein zaban rakhte hain jis jagah dil tha wahan hasrat-e-dil baqi hai jis jagah zakhm tha ab ek nishan rakhte hain hum se kar jata hai wo shakhs fareb aakhir-kar jis ke bare mein bhi hum nek guman rakhte hain 'shaukat' uslub-e-ghazal hai mutayyan taham is mein hum munfarid andaz-e-bayan rakhte hain