gardish mein chashm-e-dost ka paimana aagya

gardish mein chashm-e-dost ka paimana aagya
lije maqam-e-sajda-e-shukrana aa gaya

main aur sharab-e-nab magar is ko kya karun
gham mujh ko le ke jaanib-e-mai-khana aa gaya

yara-e-zabt rah na saka ru-ba-ru-e-dost
aankhon mein khinch ke dard ka afsana aa gaya

su-e-haram chale the bade ehtimam se
qismat ki baat rah mein but-khana aa gaya

sajde machal rahe hain jabin-e-niyaz mein
shayad qarib-tar dar-e-jaanana aa gaya

dil hai agar to dil ka dhdakna hai lazmi
raushan hui jo shama to parwana aa gaya

yun dur ho gai meri manzil ki rah mein
mai-khana aa gaya kabhi but-khana aa gaya

ai 'shauq' un ki bazm se shohrat mili mujhe
har samt ek shor hai diwana aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close