hum baat tere munh pe khari karne lage hain

hum baat tere munh pe khari karne lage hain
ja tujh ko takhayyul se bari karne lage hain

han ras nahin hum ko mohabbat ka khazana
thak-haar ke hum saudagari karne lage hain

mitti se banaya tha jo sahil pe gharaunda
kuchh bachche use bara-dari karne lage hain

is waste lahje ko badal dala hai hum ne
khushab ko hum dekh meri karne lage hain

muddat se takhayyul mein thi jo murti teri
hum ab ke use chhu ke pari karne lage hain

jo log nahin jaante mitti ki haqiqat
wo log bhi ab kuza-gari karne lage hain

qurban 'hasan' aise faqiron pe mera dil
jo ped ke patton ko dari karne lage hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close