jo teri shakl ko mahtab nahin kah sakte wo meri aankh ko talab nahin kah sakte sach mein kamzor hai binai hamari lekin ret ke zarre ko simab nahin kah sakte hum hain ausaf pe mear parakhne wale is liye kawwe ko surkhab nahin kah sakte kam se kam aap to rakh lije bharam yari ka wo to dushman hain na aadab nahin kah sakte tere wadon ki zamanat nahin deta koi thal ke sahra ko to shadab nahin kah sakte gar tu momin hai to chehre pe kahin nur bhi ho hum kisi dagh ko mehrab nahin kah sakte lakh mithe hon tere shahr ke chashme lekin hum tere shahr ko khushab nahin kah sakte