hum bansuri par maut ki gate rahe naghma tera ai zindagi ai zindagi rutba rahe baala tera apna muqaddar tha yahi ai mamba-e-asudgi bas tishnagi bas tishnagi go pas tha dariya tera is gam se us gam tak zanjir-e-gham ke fasle manzil to kya hum ko mile, chalta rahe rasta tera tu kaun tha kya nam tha tujh se hamein kya kaam tha hai parda-e-dil par abhi dhundla sa ek chehra tera suraj hai go na-mehrban hai sar pe nila saeban ai aasman ai aasman daim rahe saya tera