kati hai kaise subh kahan sham bhul jaen thahren kahin ye gardish-e-be-nam bhul jaen palkon pe aa saja len sabhi khar panw ke kyun chalte chalte hone lagi sham bhul jaen bahti hawaon pe nae nauhe likha karen is ghumti zamin ka anjam bhul jaen khul jaen paniyon mein jaziron ki khidkiyan tujh se milen to ruh ka kohram bhul jaen ye to na kar sake ki koi shaghl dhund len itna na ho saka ki tera nam bhul jaen