hum barq-o-sharar ko kabhi khatir mein na lae us fitna-e-dauran ko magar dekh na pae go qatre mein dariyaon ka tufan samae par shauq ki rudad kab alfaz mein aae zulfon ko diya hai rukh-e-zeba ne ajab rang jalwon se tere aur bhi raushan hue sae ye ishq ke shoale bhi ajab chizen hain yani jo aag lagae wahi khud aag bujhae dhalti hai wo mai ek tere paimane mein saqi masti ko bhi jo hosh ke aadab sikhae teri hi nigahon ka tasarruf tha ki hum ne ranai-e-afkar ke eajaz dikhae jis dil pe kisi ki nigah-e-lutf padi thi baithe hain 'surur' us ko kaleje se lagae