kab talak shadabi-e-fikr-o-nazar kaam aaegi gile kapde se hawa pani uda le jaegi bhagte ghode ki rasen khinchne se faeda dubte suraj ki kya raftar kam ho jaegi zehan par phaila rakhe hain jhinguron ne daere aaj jo bhi baat sochunga mujhe uljhaegi tak rahe hain kis ki jaanib najam kheme gad kar dhup niklegi to pahle mere ghar mein aaegi khil utha hun aaj main bhi us ki surat dekh kar ye ghadi jab aaegi mujh ko yunhi mahkaegi fasl suraj mein ugi hai tamtamati hai zamin ye kahani pyar karne se samajh mein aaegi jism ki putli ko raushan kar ke duniya se guzar aankh khwahish ki nazar rakhti hai dhoka khaegi zard patte ki tarah be-ghar pada hun rah mein zard patte ko koi shakh-e-hawa apnaegi mittiyon ki tah mein moti paniyon par daere sochta hun kaun si daulat mere hath aaegi sath leti ja hamein bhi dubte suraj ki dhup raat ke ghaaron mein teri yaad hum ko aaegi wo bhi khushbu ki tarah khud se alag rahne laga jaane ye mauj-e-khayal us ko kahan le jaegi khil rahi hai khwahishon ki dhup sare jism mein aankh kholunga to ye taswir bhi kho jaegi bastiyon mein jangalon mein wadiyon mein koh mein meri khushbu meri dhadkan meri aahat jaegi kitni taswiren mere andar se ubharengi 'khalil' jab teri aawaz kanon se mere takraegi