hum bayaban se gulistan ki taraf aa na sake

hum bayaban se gulistan ki taraf aa na sake
raghbat-e-khar rahi phul hamein bha na sake

aaj tak rah-e-haqiqat mein rahe mere qadam
mujh ko badle hue haalat bhi bahka na sake

yun to kahne ko numainda hain aslaf ke hum
un ke qadmon ki magar gard ko bhi pa na sake

in bahaaron se khuda dur hamesha rakkhe
jin se apne dil-e-bargashta ko bahla na sake

dukh bhare din hon ki hon gham ki bhayanak raaten
aaj tak hum kisi mahaul mein ghabra na sake

kaise insan se insan milenge dil se
apne zehnon se jab auham ke but dha na sake

aise jine se to hasil nahin kuchh faiz 'kamal'
raushni ban ke andheron pe agar chha na sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close