kanTe hi kanTe hain ta-hadd-e-nazar

kante hi kante hain ta-hadd-e-nazar
phir bhi taza hai mera azm-e-safar

rahzanon ki rahnumai dekh kar
aaj tharraati hai ek ek rahguzar

dho rahe ho kis liye patthar ka bojh
ho gae mismar sab shishe ke ghar

chaliye viranon mein basne ke liye
shahr to barbaadiyon ke hain khandar

aa gai subh-e-tarab to kya hua
suna suna hai mere dil ka nagar

jin se hota hai farogh-e-azari
aah wo kis kaam ke ilm-o-hunar

kaamrani panw chumegi 'kamal'
dekhiye ghairon ka daman chhod kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close