hum bayabanon mein ghume shahr ki saDkon pe Tahle

hum bayabanon mein ghume shahr ki sadkon pe tahle
dil kisi surat to sambhle dil kisi surat to bahle

zindagi ke raste mein do-ghadi ka sath hai ye
apne man ki main bhi kah lun apne man ki tu bhi kah le

goya zinda rahna bhi ek jurm tere shahr mein tha
hum har ek aahat pe larze hum har ek dhadkan pe dahle

ab to ta-hadd-e-nazar viraniyan phaili hui hain
ghar ka ye be-dar kharaba kitna tha aabaad pahle

waqt aisa aa gaya hai khamushi behtar hai 'munzir'
baat jo kahta hai sun le chot jo lagti hai sah le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close