mere nalon se jalte hain meri aahon se jalte hain mere dil ke nihan-khane mere hathon se jalte hain haqiqat mein masarrat ki bahaaren jin ko hasil hain wahi aksar mere jhadte hue khwabon se jalte hain mera un se lipat jaana wo ek lahza tasawwur tha harif-e-dil usi dam se meri banhon se jalte hain shab-e-gham se meri rukti ukhadti sans chalti hai mere sab maut ke pyase meri raaton se jalte hain wo aakhir kesari malbus mein uryan nikal aae wo khul ke ab hamare zafaran-zaron se jalte hain wo khushbu nam jab se kar liya wird-e-zaban main ne tabhi se itr ke tajir meri sanson se jalte hain