hum bhi dekhenge ki aana tera kyunkar na hua ye bhi ek khel hua fitna-e-mahshar na hua hum hi the khak ke putle ki hue jal kar khak ai falak aur koi tujh ko mayassar na hua wae nakaami-e-qismat ki kabhi halq apna qabil-e-khanjar-o-shamshir-e-sitamgar na hua hum na kahte the kiya kar na sada shor-o-fughan inhin baaton se thikana dil-e-muztar na hua meri wahshat ne kiya hashr mein hangama sa chaak sau jae se kam daman-e-mahshar na hua hasrat us aashiq-e-nashad pe jis ka ye haal na hua wasl-e-butan aur use dubhar na hua hum to kahte the dila ji ka lagana hai bura aakhirash aage wo aaya na ki behtar na hua aab-e-shamshir tera kaam na aaya apne dahan-e-khushk-o-lab-e-tishna gulu tar na hua qismat-e-ghair hi achchhi hai ki har-dam hai visal hum se to hashr ka bhi wada muqarrar na hua sakhtiyan thin mere qismat ki teri ulfat mein pitna jaan ka kisi din but-e-kafir na hua hain ye saman-e-shab-e-aish ke nahaq tane kab tum aae the ki kuchh mujh ko mayassar na hua jurm-e-yak-bosa-e-abru pe kiye do tukde zulm ye shikwa ye baqi ki barabar na hua ghar mein jati nahin pahchani teri shakl 'haya' us pe hasrat ki dar-e-yar pe bistar na hua