kya KHabar kah diya kya aapne diwane se

kya khabar kah diya kya aap ne diwane se
ab dil-e-wahshi bahalta nahin bahlane se

jis ko kuchh rabt hai saqi tere maikhane se
us ko matlab hai na shishe se na paimane se

hum ko tha chain mayassar usi diwane se
mit gae hum bhi dil-e-zar ke mit jaane se

zindagi milti hai jis shakhs ko mar jaane se
wo samajh sakta hai naseh tere samjhane se

kis qadar ranj-o-musibat ka muraqqa hun main
kanp uthta hai mera dil teri yaad aane se

ye nasihat to baja naseh-e-mushfiq lekin
koi diwana samajhta bhi hai samjhane se

samne aao hata do rukh-e-zeba se naqab
koi parda bhi kiya karta hai diwane se

hum ne ye kah ke dil-e-zar ko samjhaya hai
kaam bante hain kahin ishq mein ghabrane se

meri jamiyat-e-khatir ko pareshan na karo
zulf-e-barham ko hatao na abhi shane se

aap ke zulm ko bhi main ne karam samjha hai
sharm aati hai mujhe aap ke sharmane se

kya khabar ishq mein anjam mera kya hoga
ab yagane bhi nazar aate hain begane se

dil dukhane ka to anjam bura hota hai
khud tadap jaega zalim mere tadpane se

allah allah ye bimar-e-mohabbat ka ilaj
rang badla tere daman ki hawa khane se

jate jate meri kaifiyyat-e-dil dekhta ja
mujh pe kya guzregi ai dost tere jaane se

kya karen ji ke ye jina bhi koi jina hai
jab hayat-e-abadi milti hai mar jaane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close