hum bhi phirte hain yak hasham le kar dasta-e-dagh-o-fauj-e-gham le kar dast-kash nala pesh-rau girya aah chalti hai yan ilm le kar marg ek mandgi ka waqfa hai yani aage chalenge dam le kar us ke upar ki dil se tha nazdik gham-e-duri chale hain hum le kar teri waz-e-sitam se ai be-dard ek aalam gaya alam le kar barha said-gah se us ki gae dagh-e-yas aahu-e-haram le kar zoaf yan tak khincha ki surat-gar rah gae hath mein qalam le kar dil pe kab iktifa kare hai ishq jaega jaan bhi ye gham le kar shauq agar hai yahi to ai qasid hum bhi aate hain ab raqam le kar 'mir'-sahib hi chuke a bad-ahd warna dena tha dil qasam le kar