mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin ek chakkar hai mere panw mein zanjir nahin shauq us dasht mein daudaye hai mujh ko ki jahan jada ghair az nigah-e-dida-e-taswir nahin hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai jada-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin ranj-e-naumidi-e-jawed gawara rahiyo khush hun gar nala-zabuni kash-e-tasir nahin sar khujata hai jahan zakhm-e-sar achchha ho jae lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de koi taqsir ba-juz khajlat-e-taqsir nahin 'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasikh' aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin 'mir' ke sher ka ahwal kahun kya 'ghaalib' jis ka diwan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin aaina dam ko parde mein chhupata hai abas ki pari-zad-e-nazar qabil-e-taskhir nahin misl-e-gul zakhm hai mera bhi sinan se tawwam tera tarkash hi kuchh aabistani-e-tir nahin