hum chatanon ki tarah sahil pe dhaale jaenge phir hamein sailab ke dhaare baha le jaenge aisi rut aai andhere ban gae mimbar ke but gumbad-o-mehrab kya jugnu bacha le jaenge pahle sab tamir karwaenge kaghaz ke makan phir hawa ke rukh pe angare uchhaale jaenge hum wafadaron mein hain us ke magar mashkuk hain ek na ek din us ki mahfil se nikale jaenge jang mein le jaenge sarhad pe sab tir-o-tafang hum to apne sath mitti ki dua le jaenge shahr ko tahzib ke jhonkon ne nanga kar diya ganw ke sar ka dupatta bhi uda le jaenge dastan-e-ishq ko 'bekal' na de giton ka rup dost hain bebak sab lahje chura le jaenge