duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath utha utha kar hua hun tab main buton ka banda khuda khuda kar khuda khuda kar dua lab-e-jam ne bhi mangi subu ne bhi hath utha utha kar hamari mahfil mein aaya saqi khuda khuda kar khuda khuda kar dikhaya wahdat ne apna jalwa dui ka parda utha utha kar karun main sajda buton ke aage tu ai barahman khuda khuda kar hain ashk zakhmon se mere jari na dekhi hogi ye ashk-bari bani hain chashm-e-pur-ab qatil ye zakhm pani chura chura kar kahan wo shaklen kahan wo baaten kahan wo jalse kahan wo mahfil ye sab ka sab khwab ka tha saman chhupa liya bas dikha dikha kar ba-rang-e-saghar mila diya munh jo munh se tere khafa na hona kiya hai behosh tu ne saqi sharab mujh ko pila pila kar uthaya yaron ne par na uttha zamin se hargiz hamara lasha ye kis ne hum ko hai mar dala nazar se apni gira gira kar jo pahunchen hum murgh-e-nama-bar ko to chutkiyon mein use uda de agar-che wo tifl khelta hai par-e-kabutar uda uda kar pas-az-fana bhi agar tu aae karun sag-e-yar mehmani ki ustakhwanon ko apne tan mein rakha huma se chhupa chhupa kar gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe patkun ki tod dale main aise mine hazaron shishe utha utha kar kabhi mere dil se karti hain bal kahi hain shane se ye uljhtin gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigada hai sar chadha chadha kar shikast likhta tha nam dil ka yahi thi tifli mein mashq teri bana diya dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likha likha kar bade gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikwe ki dam mein tu ne hain mar dale hazaron murde jila jila kar pilana pani ka jam zahid gunah mashrab mein hai hamare sawab leta nahin hai kyun tu sharab mujh ko pila pila kar nahin koi raazdar hum sa kiya na wahshat mein tujh ko ruswa ki dagh manind-e-khar-e-mahi badan mein rakhe chhupa chhupa kar gale hazaron ne apne kate hazaron be-wajh ho gae khun bahut hua phir tu yar nadim kaf-e-hinai dikha dikha kar nigah ki surat phiro na har su hijab tum mardumuk se sikho ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman utha utha kar dikha ke gul se ezar tu ne kiya dil-e-ashiqan ko bulbul bana diye gosh ghairat-e-gul sada-e-rangin suna suna kar gunah karta hai barmala tu kisi se karta nahin haya tu khuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar chala hai mahfil se apne saqi dikhaun main apni ashk-bari karun bat-e-mai ko murgh-e-abi abhi se dariya baha baha kar rulae barson hansi tu jis se dikhae gar zulf mar rakkhe kare tu dar-parda rah dil mein jo dekhe parda utha utha kar wahi asar hai junun ka ab tak wahi hai ladkon ko ab bhi kawish ki meri mitti ke roz majnun bigadte hain bana bana kar ajab nahin nama-e-amal ka dila ho kaghaz agar khata ke khataen kin main ne aashkara kiye hain isyan chhupa chhupa kar asar hai chah-e-zaqan ki ulfat ka baad-e-murdan bhi aah baqi ki khelti hain hamari mitti ke dol ladke bana bana kar kiya hai poshida ishq hum ne kisi se dar-parda hai mohabbat pade hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupa chhupa kar jo khauf tufan-e-ashk se ab nahin hai jata na jae qasid rawan karun su-e-yar-e-jaani khaton ki nawen bana bana kar tera sa qad ban saka na hargiz teri si surat na bin saki phir agar-che sane ne lakhon naqshe bigad dale bana bana kar udhar mizha ne lagai barchhi idhar nigahon ne tir mare shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhen lada lada kar kati hai goya shab-e-jawani bas aan pahunchi hai subh-e-piri bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din khuda khuda kar