hum dekhen kis din husn ai dil us rashk-e-pari ka dekhenge wo qad wo kamar wo chashm wo lab wo zulf wo mukhda dekhenge mat dekh buton ki abru ko hat yan se tu ai dil warna tujhe ek aan mein bismil kar denge aur aap tamasha dekhenge dil de kar hum ne aaj use hi dekhi surat tewri ki ye shakl rahi to ai hamdam kal dekhen kya kya dekhenge jab dekhi us ki chin-e-jabin yun hum ne 'nazir' us but se kaha khair aap to hum se na-khush hain ab aur ko hum ja dekhenge kya lutf raha is chahat mein jo hum chahen aur tum ho khafa ye baat suni to wo chanchal yun hans kar bola dekhenge