hum dekhte hain un ki taraf bar bar kyun apni nazar pe hum ko nahin ikhtiyar kyun wo mujh se puchhte hain ki ho be-qarar kyun main un se puchhta hun ki ho trahdar kyun dariya baha rahi tu ai chashm-e-zar kyun dam bhar bhi tutta nahin ashkon ka tar kyun tum mujh pe dha rahe ho sitam bar bar kyun aakhir rula rahe ho mujhe zar zar kyun pazhmurda hote jate hain gulha-e-dagh-e-dil aati nahin chaman mein hamare bahaar kyun kya phunk kar rahegi mere aashiyane ko bijli lapak rahi hai idhar bar bar kyun wada hi wada tha na wo aae na aaenge ai chashm-e-arzu hai tujhe intizar kyun apni nazar se puchhiye haal-e-dil-e-hazin be-ikhtiyar kyun hai nahin ikhtiyar kyun jab teri rahmaton ka nahin hai koi shumar isyan ka mere hota hai yarab shumar kyun kya hain kisi ke gesu-e-mushkin khule hue hai gulshan-e-jahan ki faza itr-bar kyun apni tarah mujhe bhi karegi tamam kya tadpa rahi hai mujh ko shab-e-intizar kyun hain yun to trahdar zamane mein aur bhi lekin hai aap hi pe zamana nisar kyun zakhmi hain donon kya tere tir-e-nigah ke dil mein khalish hai aur jigar dagh-dar kyun 'sabir' ki zindagi mein to puchha na aap ne marne ke baad puchh rahe hain mazar kyun